Saturday, December 02, 2017

Dil ki lagi mein milta kise qaraar yahan..!

Dil ki lagi mein milta kise qaraar yahan
Gumshada hai kahin raah-e-farar yahan
Muhabbaton ke lamhe bichad gaye hum se
Na dardmand yahan na dast-e-yaar yahan
Pukarna unko toh khud kalami kabhi
Panap raha hai faqat inteshaar yahan
Hua yeh aalam ke lut gaye Hain hum
Kise mila hai kismat pe ikhtiyaar yahan
Unhin ko milti hai aksar burai yahan
Talash karte hain Asim jo pyaar yahan!
- Khan M. Asim... 26/04/2016... 10:38 AM.. Train..!

Yaad unki aa rahi hai aaj phir!

Diwangi sar chadh rahi hai aaj phir
Bekhudi si chaa rahi hai aaj phir
Mein kahin hun woh kahin hai dekhiye
Zindagi ghabraa rahi hai aaj phir
Shaam se tanha hai taara chand bin
Aur ghata bal khaa rahi hai aaj phir
Tishna lab hai ik parinda dekhiye
Aur nadi itraa rahi hai aaj phir
Aansuon ka ek dariya ban chukaa
Kya paher dikhlaa rahi hai aaj phir
Do qadam do chaar lamhe hum chale
Aur thakan tadpa rahi hai aaj phir
Saans phir ukhdi hain ASIM kya karein
Yaad unki aa rahi hai aaj phir!
- Khan M. Asim...23/04/2011... 9:45PM!

Sab kuch bhula dia hai goya ke pyaar mein..!

Sab kuch bhula dia hai goya ke pyaar mein
Hum bhi deewana-waar hain ku-e-yaar mein
Karte hain yunhi uska mehfil mein tazkarah
Khoya hai har khayaal uske khumaar mein
Aksar o beshtar hain taghaful ka hum shikaar
Beshak wasih hai faasla uske mayaar mein
Aatish o ik sharaar hain nigaahein adu ki
Milti kahan hai zindagi raah-e-faraar mein
Chu-ne ko machalte hain magar chu nahin sakte
Kaisi hai yeh judai Asim bahaar mein!
-Khan M. Asim... 14/04/2016... 01:43 PM..!

Shab-gazidah..!

Raat jawaan hai
Chaand abhi paida hua hai
Magar sitaarey budhey hain
Wahi purani tees hai
Jo andar se khol rahi hai...
Wahi ubaal hai wahi shor hai
Wahi shiddat wahi zor hai
Aur wahi kamzor siskiyaan bhi
Jawaan raat, naya chaand
Sabhi tamashayi hain
Ek tanhayi hai jo jhoom rahi hai
Akelapan hai ke gunguna raha hai
Ek khilwat hai jo naach rahi hai
Yahan saaqi bhi, paimana bhi,
Sharaab bhi, meikhana bhi,
Sab mein hi hun...
Lamhey meri paazeb hain
Aur mein hi koi dulhan hun
Khud hi se apna yaraana
Khud hi se apna ishq hai
Yeh raat bhi beet jayegi
Aur din ka ujala
Phir ussi dard ka mutlaashi hoga
Jo shab ko naagin bana deta hai
Aur mujhe,
Shab-gazidah..!

- Khan M. Asim.. 09/04/2016... 02:09 AM..!

Kahin bhaag jaon..!

Mann karta hai
Kahin bhaag jaon
Meelon tak bhaagta rahun
Na rukun, na mudun
Na thamun, na saans lun...
Ek tareek viraane mein
Kisi bayabaan mein
Kisi Sehra mein
Kisi dariya ke gehrayi mein
Jahan sirf khila ho
Zulmaat ke aangan mein
Koi suraj na ugta ho
Jahan na aadam ho
Na aadamzaad
Na hawa ka guzar ho
Aur na roshni ka
Jahan na ho yeh duniya
Aur na yeh duniya ke log
Aisi siyaahi mein duba lun khudko
Ke mein khud hi siyaah hojaon
Tareeki hi lahed ho
Siyahi kutba ho
Aur andhera maqbara ho mera..!

- Khan M. Asim... 03/04/2016.. 12:00 Noon..!

Quwwate parvaaz nahin..!

Ek mehwar pe zamin
Atki hai azal se
Bhaagna chahti hai
Magar quwwate parvaaz nahin
Uski tadpan ko samajhta hun...
Magar karun kya mein
Ishq mehwar hai mera
Magar karun kya mein
Ek aatish hai, tapish hai
Khalish bhi hai, kashish bhi
Usko maloom hai sab
Magar karun kya mein
Ek pur-azm sipahi hai
Jo ladhta hai sabhi se
Ek aashiq hai, shayer hai
Jo darta hai sabhi se
Mujh mein baste hain kayi log
Magar karun kya mein
Uski tareef mein
Ghazlon ko siya hai meine
Uski furqat mein
Ashkon ko piya hai meine
Jism chalni hai mera
Rooh bhi majrooh hai bahut
Woh bhi shahid hai muhabbat ki
Magar karun kya mein
Aaj khilwat mein
Khayaal uska hai zahen pe qabiz
Fahem o idraaq
Mafroor hain, samajh hai naqis
Dil bhi kehta hai
Chalo usse hi karein kuch baatein
Haath mein tasveer hai uski
Magar karun kya mein
Yun toh zaalim hai
Magar mazloom bhi hai
Ishq fitna bhi hai
Ishq sukoon bhi hai
Yun toh usne bhi kayi baar
Izhaar kia hai mujhse
Uski aankhon mein bhi hai pyaar
Magar karun kya mein..!

- Khan M. Asim... 27/03/2016... 02:30 PM..!

Chaahna bhi zaroori hai..!

Chaahna bhi zaroori hai
Ladhna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Bichadna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai..!


Hain tumse keh rahe dilbar
Hai shola dil ke ik andar
Jab se aankh kholi hai
Tumhara naam honton par
Sisakna bhi zaroori hai
Tadapna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Bichadna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai
Ladhna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Bichadna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai..!


Khayalon mein tujhe socha
Khwaabon mein tujhe dekha
Teri tasveer ko chuma
Duaon mein tujhe maanga
Nigaahon se nigaahon ko
Takna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Milna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai
Ladhna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Bichadna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai..!
- Khan M. Asim... 18/03/2016... 07:50 AM..!

Aur khuda tamashayi..!

Raat aur taareeki
Tanhayi aur ghum
Chubhte lamhe
Musalsal koft
Dil soz aatish...
Bikhre huwe khwaab
Aur mein...
Judna chahta hun
Magar taar taar
Bheetar tak majrooh
Moride ilzaam kaun
Kis ko mujrim kahun
Kis ki sifarish karun
Dum todti ummeed
Magar pukhta imaan
Aas roz-e-roshan ki
Lekin...
Yeh zarb hoti zarbein
udhed bun, beem
Justuju khud ko paane ki
Koshish usko samjhaane ki
Abhi tak faqat nakaami
Magar
Wujood hai toh yaqeen hai
Mehnat raaigaan na jayegi
Milegi mujhko,
Usse milna hi hoga
Chaahe zameen doz hi ho
Zeest se gila kaisa
Agar khuda ki marzi hai
Phir sab bekaar hai
Drama hai
Ishq bhi tamasha hai
Husn bhi tamasha hai
Aur khuda tamashayi..!

- Khan M. Asim... 16/03/2016... 02:01 AM..!

Kitna aasaan hai ilzaam kisi ko dena.. Edited!

Kitna aasaan hai ilzaam kisi ko dena
Kitna mushkil hai koi naam kisi ko dena


Aaj aankhon se hai aankhon ki mulaaqaat ka din
Reh ke khaamosh hai Paighaam kisi ko dena



Khwaab adhoore hain agar is ka sabab bhi hum hain
Kyon ye tuhmat dil e naakaam kisi ko dena


Hum ko baandhe hai ye jazbaat ki kaisi zanjeer
Khud sulagna magar aaraam kisi ko dena


Dard sehte hain magar ye naheen lagta behtar
Taanah e gardish e ayyaam kisi ko dena


 Tumko haalaat ne Asim di sar e aam saza
 Tum saza yoon na sar e aam kisi ko dena!
- Khan M. Asim... 28/02/2016... 10:51 PM.. Edited by Obaid Azam Azmi..!

Kitna aasaan hai ilzaam kisi ko dena..!

Kitna aasaan hai ilzaam kisi ko dena
Kitna mushkil hai naam pe tohmat sehna


Unse aankhon mein mila ke aankhein
Baat bhi kehni hai aur hai chup bhi rehna
...
Muntashir hain ke khwaab adhoore nikle
Aur hai mushkil ke khwaab hai unse kehna


Humko baandhe hai jazbaat ki kaisi zanjeer
Raat bhar qaid mein tanha sulagte rehna


Dard sehne mein maharat bhi hui hai Asim
Warna mushkil tha halaat mein zindah rehna!
- Khan M. Asim... 28/02/2016... 10:51 PM..!

Jism ek ghar hai..!

Jism ek ghar hai
Jis mein rooh basti hai
Faqat woh ishq karti hai
Faqat tumpe woh marti hai
Muhabbat ke charaghon se...
Hazaaron armaan khilte Hain
Hazaaron khwaab jagte Hain
Isse takleef na do tum
Zara si ik thasak se bas
Yeh armaan na bikhar jaayein
Kahin na Khwaab mar jaayein
Woh Rooh beghar na hojaye
Mujhe ulfat se dekho bas
Mein har lamha tumhara hun!
- Khan M. Asim.. 26/02/2016... 02:08 AM..!

Khokhlapan..!

Aadmi ko tod deta hai
Jaan ke hote huwe
Bejaan hone ka ehsaas
Sharyano o vareed ka
Daudta ubaal...
Sab kuch hote huwe bhi
Kuch na hone ka khokhlapan..!

- Khan M. Asim.. 22/02/2016..!

Bekhwabi..!

Shab ki aakhri paher
Kaanpta dil
Aur
Maut ki aahat..
Anjaan tarangein...
Zahen ko bedaar karti hain
Bad-hawasi o bekhwabi
Jism ko nichod rahi hain
Ajeeb uzr hai
Zehen maflooj hai
Neend ka shaiba tak nahin
Shor hi shor
Khoon kharaba
Awaazon ka hujoom..
Koi jung chidi ho jaise...
Bas ek bahes hai
Khud se, muhabbat se
Woh muhabbat
Jo ab chidhaane lagi hai
Woh Muhabbat
Jo ab jalaane lagi hai
Woh Muhabbat
Jis se dil bezaar hai
Woh muhabbat
Jo bilkul bekaar hai
Ajeeb aalam hai khudkalami ka
Bekhudi bhi ab
Tukdo mein bat chuki hai
Tamam manzar siyaah ho chuke
Doob rahi hai har umeed
Subah ka tara bhi ghata mein hai
Chaand poonam ka hai
Ya amavas hai
Kuch sujhai nahin deta
Yeh taareekiyon ka safar
Bada taweel hai
Aur safar hi goya manzil bhi
Yeh tareekiyan hi noor banengi
Aur yeh jism usi mein dhal jaayega
Tab talak,
Kashmakash jo jaari hai
Isko saansein mazeed dete hain
Aadmi aadmi ka dushman hai
Aadmiyat badi bhayanak hai
Kaun jaane ke kaunsa kona
Uski turbat, makaan ban jaaye
Itni islaah magar zaroori ha
Ke aadmi deshbhakti mein
Kum az kum insaan banjaaye..!

- Khan M. Asim... 22/02/2016... 03:10 AM..!

Adalat ke darwaazon tak..!


Zindagi,
Rangeen se
Safed-kaali hogayi
Ek aur karvant
Safar-e-hayaat mein...
Zulm aur aahon se
Insaaf ki panaahon tak
Sahafat ke galiyaaron se
Adalat ke darwaazon tak
Ghoomti ghaamti
Dar ba dar
Faaqon se tilmilaati zeeest
Ek tawaif
Daulat ki pujaran,
Zindagi
Kheir..
Jo bhi hoga
Dekhenge..!

- Khan M. Asim... 11/02/2016... 03:15 PM... Advocates' room, City Civil and Sessions Court, Bombay..!

Yeh saalgirah mukhtalif hai..!

Pichli bahaaron se
Yeh saalgirah mukhtalif hai
Ab woh kashmakash nahin baaqi
Ab woh justuju zara kum hai
Magar aarzuon ke kohsaar...
Qayam Hain
Tamannaon ke jazeerey
Tishna Hain
Nigaahon ki betaabi
Ab bhi taab rakhti hai
Khayalon pe
Tumhari hi hukumat hai
Ehsasaat pe tumhara raaj
Dil-e-naatwaan tumhara aseer
Abhi bahut si basant aayengi
Magar tab sukoon hoga
Chunke,
Intezaar ke lamhey khatam hone ko Hain
Yeh saal, yeh saalgirah
Sang-e-meel honge
Bahut jald
Musafir ko manzil milegi
Bahut jald
Aye dilnasheen
Yeh khanabadoshi khatam hogi
Hum ek honge
Aur hamara apna jahaan
Yeh saal bahut Mubarak hai
Yeh bahaar azeem hai
Mubarak Mubarak
Zindagi ka yeh haasil..!
Happy Birthday Arpi  
- Khan M. Asim... 02/01/2016... 11:39 PM..! Happy Birth Day Arpita Aparna Sarkar 

Tuesday, May 17, 2016

Mein khaana badosh

Mein khaana badosh karta hun talaash
Ik apna makaan ik apna jahaan
Mein khaana badosh..!
Taqdeer ne jo dhoka dia
Tha waqt hi woh bewafa
Khoya kahan hai Rasta
Dhundun faqat mein carvaan
Ik apna makaan ik apna jahaan
Mein khaana badosh karta hun talaash
Ik apna makaan ik apna jahaan
Mein khaana badosh..!
Hai zindagi apni dhuan
Meelon talak taareekiyaan
Mushkil hui awaargi
Khoya yahan naam o nishaan
Mein khaana badosh karta hun talaash
Ik apna makaan ik apna jahaan
Mein khaana badosh..!
- Khan M. Asim... 28/12/2015... 01:44 PM... Train..!

Kisi ko haq nahin

Nahin,
Kisi ko haq nahin
Ke uska dil today
Na mujhko,
Na tumko
Aur na khud usko!
Woh to hawa hai
Behti rehti hai
Zaafraani phoolon se guzar kar
Qiley ko mehka deti hai
Dil ko sukoon
Rooh ko qaraar deti hai
Uski awaaz
Ek mosiqi
Raahat, farhat
Dilkash qurbat
Uske iraade koh shikan
Afa'al dilnasheen
Magar aaj woh
Dil aazaar o dil figaar
Maghmoom o dilgeer
Bekhudi ka sila
Bebasi bewaja
Yeh nahin dillagi
Hai ehtiraam bhi
Shaah Mein hota agar
Karta ikraam bhi
Usko tolo na,
Chaandi o soney se hi
Woh bahel jaati hai
Ik khiloney se hi
Ishq ko hai usne Kia Zeb-tan
Aitbaar uska hai zevar hua
Uski har baat pe
Dil se nikley dua
Uski har ik adaa
Marhaba marhaba
Tumko gar woh Miley
Usse kehna zara
Yun na bazaar ho
Dilruba muskura
Tere dum se juda
Ik tufeili bhi Hai
Ishq bhi Hai tera
Aur saheli bhi hai
Uski duniya ko yun
Na tu veeraan kar
Abruon ko tu apni
Na hairaan kar
Tere dum se faqat
Dekh zindah hai woh
Kamzor, naatwaan
Ik parindah hai woh
Khol ghum ka qafas
Uspe ehsaan kar..!
- Khan M. Asim.. 27/12/2015... 03:51 AM..!

Khizaan raseedah..!

Kuch waqt ke liye baandh rakha tha
Magar ab yeh baandh toot raha hai
Sabar ka paimana labrez hai
Kuch jazbaat chalakne ko Hain
Kuch ehsaas pighalne ko Hain
Nason mein chubhte alfaaz
Yeh khinchao, yeh tanao
Koi aatish fishan ubalne wala hai
Zeest-e-la-makaan
Sanf-e-naazuk,
Vaadeh, muhabbat
Aur hazaar afsaane
Pur-asraar, na-maloom mustaqbil
Khauf ke saaye
Kisi kazdam se daste lamhe
Nakaami ke manazir,
Bekaari ke sawaal
Aur shikast khordah jawaab
Mann o tu ka shash o panj
Ek khila
La-mehdood safar
Na-umeedi o beem
Yaas, udaas,
Mausam-e-bahaar
Magar dil,
Khizaan raseedah..!
- Khan M. ASIM... 24/12/2015... 10:07 PM..!

Shabdon ka qahet

Kaghaz hai
Qalam hai
Roshnai hai
Magar
Alfaaz nahin!
Shabdon ka qahet hai goya
Shayeri pe guhan chaya hai
Tassauvurraat ke lashkar
Dher hogaye
Khayalaat ke ujaale
Andher hogaye
Na jaane kiski nazar lagi
Ghazlon ki zarkhez zameen
Na-ped o banjar hogayi
Mujhe yaqeen hai
Yeh baanjh nahin
Abhi ek chashma phootega
Lafzon ka, behron ka
Roshan kar dega khayalon ko
Tassauvur ke dareechon ko
Seraab o shadaab kar dega
Sateh-e-qirtaas ko
Abhi ek Kali khilegi
Phir ek ghazal,
Shagufta hogi..!
- Khan M. Asim... 21/12/2015... 03:01 AM..!

Kyun log itne ajeeb hain..!

Zindagi ne diye Hain jo
Yeh log kitne ajeeb hain
Jo rafeeq Hain
Woh raqeeb Hain
Kyun log itne ajeeb hain..! Asim

Kis cheez pe hai Teri nazar dekh rahe Hain

Kis cheez pe hai Teri nazar dekh rahe Hain
Naaseh teri naseehat asar dekh rahe Hain
Waqif Hain Teri zaat se humdard-e-zamana
Hum jaante Hain tujhko magar dekh rahe Hain!
- Khan M. Asim... 03/12/2015... 03:15 AM..!

Muhabbat ke daave hawa ho gaye

Muhabbat ke daave hawa ho gaye
Humin doston bewafa ho gaye

Sitamgar usi ko kaha baar-ha
Khud hi ishq ki par qaza ho gaye

Nigahon ki baatein adaon ke qissey
Sunaate sunaate fana ho gaye

Ulfat ke naghmey khushi ke taraane
Kahin baazgashtey saba ho gaye

Khilwat mein rona nigaahein churana
Ke aansun hi apni dawa ho gaye

Yeh matlab ki duniya farebi yeh duniya
Behroopiyey sab khuda ho gaye

Bazm-e-Muhabbat ke woh chaand taare
ASIM sabhi se khafa ho gaye..!

- Khan M. Asim... 23/11/2015... 01:15 PM..!

Hum se ummeed wafadaari karein

Hum se ummeed wafadaari karein
Woh dhadalle se ghaddaari karein
Bhool jayein ke woh na the apney
Kab talak Asim aah o zaari karein! Asim

Allah ki takbeer hai dil

Wehshat dehshat bas phaili hai bin tere takseer hai dil
Khana jungi har su tashaddud maqbuza kashmeer hai dil
Koi nahin par isse pukhta iflaaki zanjeer hai dil
Khoo'n ka munawwar qatra qatra Allah ki takbeer hai dil! Asim
Wehshat - horror, dehshat - terror, takseer - divided into pieces
Khana jungi - civil war, tashaddud - to opress, maqbuza - occupied, kashmeer - Kashmir, pukhta - strong, iflaaki - divine, zanjeer - chain, munawwar - enlightened, qatra - drop, takbeer - Greatness (of God)

Neend ki talaash mein

Neend ki talaash mein
Chalte chalte
Subah ke dar pe dastak hai..
Magar na jaane kahan gum hai
Zahen pe hathodey baras rahe hain
Aur dil
Kaanp raha hai
Judai ke sholay jhulsa rahe hain
Nakaami ke teer
Chalni kar rahe hain
Zindagi ka Yeh bhayanak padao
Khaufzadah kar raha hai
Yeh kaisi manjhdhaar hai
Yeh kaisa daldal hai
Mein doob raha hun
Mein doob raha hun
Doob raha hun..!
- Khan M. Asim.. 10/11/2015.. 02:55 AM..!

Pyaasi pyaasi hai zamin

Pyaasi pyaasi hai zamin
Sookha sookha aasmaan
Rookhi sookhi chaandni
Na humdum na maherbaan!
Tooti phooti dhadkanein
Lamha lamha adchalein
Roonthe roonthe raaste
Thak kar kaise ghar chalein
Soona soona hai jahaan
Na humdum na maherbaan!
Pat pat karte jugnu hain
Tap tap karte abru hain
Far far karti hai hawa
Doobe doobe majnu hain
Koi nahin apna yahaan
Na humdum na maherbaan..!
- Khan M. Asim... Began: 10/03/2015... 07:15 PM.. Finished: 09/11/2015... 01:36 AM..!

Sirf Mera dosh hai aisa bhi nahin hai

Sirf Mera dosh hai aisa bhi nahin hai
Aur tu nirdosh hai aisa bhi nahin hai
Ek mein mad-hosh hun aisa bhi nahin hai
Aur tu behosh hai aisa bhi nahin hai..!
- Khan M. Asim... 06/11/2015... 02:54 PM..!

Yaad aati hai..!

Shaher mein hon toh
Chaar chaar din nahin milte
Magar,
Uske hone ka ehsaas rehta hai
Yaad itni pareshaan nahin karti
Doosre shaher mein bhi
Woh meri hi hai
Par uske jaate hi
Yaad aati hai..!
- Khan M. Asim... 05/11/2015... 12:31 PM.. Missing..!

Kisi kazdam se kaathte lamhe

Kisi kazdam se kaathte lamhe
Khilwat ko jhinjhod rahe hain
Peshaani pe silvatein hain
Dil-e-ranjoor hai choor choor
Haqeeqaton ke bad-shakal saaye
Khwaab mein taaqqub kar rahe hain
Imaandaari ki safed chaadar
Kafan si tashkeel ho rahi hai
Wahi purana khayal-e-mub-ham
Wahi aseeri banaame ishqam
Zamaane bhar ki sitam zareefi
Wahi hamari hai bad-gumaani
Wahi salamat hai tang dasti
Saans ab toh ukhad rahi hai
Mehvar zeest ka hil raha hai
Aas paas yahin gird o noh mein
Ajal paron ko tolti hai
Jald apna safar bhi hoga
Dard apna khatam bhi hoga..!
- Khan M. Asim... 05/11/2015... 01:43 AM!
Kazdam - scorpion, khilwat - loneliness, peshaani - forehead, silvat - wrinkle, ranjoor - ill, taqqub - to follow, kafan - shroud, tashkeel - taking face, aseeri - captivity, mub-ham - doubtful, mehvar - axis, Gird o noh - ambiance, zeest - life, Ajal - death

Sangeen saza..!

Na jaane kya kya
Zahen mein irta'ash karta hai
Magar alfaaz
Mun'akas karne se ma'azoor
Dil, zaleel o khwaar
Faqat mehsoos karta hai
Zabt ki inteha hone ko hai
Magar zarf hai
Ke sab gawara kar raha hai
Aksar jinke jawaab aate the
Woh log,
Ab sawaal ban chuke hain
Izhaare khayaal
Kar bhi dein, toh kya?
Justuju jaari hai
Iss azdahey se ladne ki
Magar istafhaam qayam hai
Zeest-e-la-makaan
Teri manzil hai kahan
Sabhi kirdaar, murdaar
Qudrat, sharamsaar
Tamaam kaarigari naaqis
Imaandaari, be-maani
Be-imaani, kaamraani
Bekhudi, bewajah
Ishq, nadaani
Tanhai, deewarein aur utaaq
Jurm e hayaat ki
Sangeen saza..!
- Khan M. Asim... 28/10/2015... 01:25 AM..!

Woh ool fool bakne lage hain

Woh ool fool bakne lage hain
Puraane zakhm pakne lage hain
Bigadna unka sare raah chalte chalte
Musafir thaher ke takne lage hain
Mulaqaatein hain unse Kai baras ki
Magar woh ghair se lagne lage hain
Yaadon ka khandar ik aur mein hun
Yeh lamhe kyun thamne lage hain
Sanbhalna chonkna aahat Hui toh
Saaye se hi hum darne lage hain
Karein kaise khuda ka shukriya
Kum az kum yaad woh karne lage hain
Nawazish Yeh bhi Asim kum na samjho
Tumhare saath woh chalne lage hain!
- Khan M. Asim 24/10/2015... 12:16 AM..!

Mitt chuke hain dil ke jitne daag rahe hain!

Kaajal se sharma kar baadal bhaag rahe hain
Armaano ke sholay phir se jaag rahe hain
Baahon mein teri aakar nirvaan mila
Mitt chuke hain dil ke jitne daag rahe hain! Asim


Tariq bin Ziyad

Ghodon ki maghroor taapon se
Samandar ka seena chalni hota raha
Magar woh khush tha
Khidmat mein
Apne rabb ki makhlooq ki
Woh jaanta tha
Yeh lashkar koi aam lashkar nahin
Unke ghungraale baalon waale
Barbar saalaar ki nigaahein..
Samandar se bhi gehri theen
Jinhein dekh kar
Samandar bhi makhmoor hua
Woh goya koi uqaab tha
Doorandesh, nidar, jaanbaaz
Woh jis ne apne rabb ki khushnoodi ke liye
Tegh o sipar uthayi thi
Usko na thi
Takht o taaj ki chahat
Belous khaadim
Taweel safar ke baad
Yeh lashkar yahan pe pahuncha tha
Magar yeh kya?
Usne toh apne jahaaz hi jala diye..
Behr-e-zulmaat hairaan tha
Yeh toh deewangi hai
Sad fi sad
Undlis ka saahil cheekh pada
Malaik sajdah rez huwe
Magar
Uski peishaani chamak rahi thi
Hawayein uski fateh ka
Parwana de rahi thin
Lekin saamne,
Hispaniya ka azeem lashkar
Usse rondhne ko machal raha tha
Bijliyaan thi nigaah mein uski
Toofaan uske tha baazuon mein
Taareekiyon mein woh jaanta tha
Uska lashkar haanp raha hai
Ghodon ka dil kaanp raha hai
Magar
Usse yaqeen tha madad milegi
Aasmaan tha fateh ka zaamin
Woh sar-ba-kafan
Chattaan pe khada
Aur aasmaan
Goya uske qadmon mein
Khitaab uska tha
Lafz saahir ka
Uske alfaaz mazboot
Iraadeh musammam the
Kuffar ke lashkar se ghabrana nahin hai
Tadad gar kum hai darr jaana nahin hai
Ladho ke tum imaan waale ho
Badho ke tum Quran waale ho
Apne haathon se taqdeer bana lo apni
Kalima-go ho toh shamsheer sanbhalo apni
Uske qadmon mein
Chand lamhon mein
Undlis ke khazaane the
Magar,
Maal-e-ghanimat na usko rok saka
Kooch usne shumaal ko kar li
Yeh kahani hai Ibne Ziyad ki
Zindagani hai ibne ziyad ki
Roz usko fajar mein paoge
Ik sitarah saher mein Tariq hai!
- Khan M. Asim... 18/10/2015... 02:13 PM.. ‪#‎TariquebinZiyad‬

Ajab nizaame hayaat hai!

Betarteebi aur betaabi
Ubaal khaata lahoo
Har chehra khunkhwaar
Wahi puraani taaseer
Ahde jahalat si
Jadeed, mabaad jadeed
Kisi daireh ki tarah
Na koi simt na koi kona
Taareekiyon ka ek naya baab
Aahat hai anhoni ki
Sargoshi hai lamhon ki
Na maseeh na sarvar
Bhatke huwe Peru
Aaghaaz hi anjaam hai Goya
Zeest phir tilmila rahi hai
Waqt ab thamne ko hai
Ajab nizaame hayaat hai!
- Khan M. Asim 13/10/2015 03:00PM Train!

Bewafayi bhula hi do tum!

Koi pardah sa gir gaya hai
Waqt yunhi thaher gaya hai
Udaasiyon ne kia hai hamla
Wujood apna akhar gaya hai
taareekiyon ka muqaam yeh hai
Fitna parvar huwe hain lamhe
Zahen ki rag rag phadak rahi hai
Goya fitrat bhadak rahi hai
Bahek ke usse bhatak gaye hain
Har ek dhadkan dahek rahi hai
Khaamoshi hi agar hai manzil
Toh shor kyun hai ghubaar kyun hai
Yeh log aise haan yaar kyun hain
Yeh lafz naala fughaar kyun hain
Dast uska abhi tha phaila
Abhi toh usko dia tha sadqa
Woh bhool beitha meri rivayat
Mein sadqa karke hun bhool jata
Usse abhi bhi yahi gumaan hai
Ke aasmaan se buland hai woh
Mujhe yakin hai ke woh nahin hai
Mili kisey hai yaan javedaani
Jaame jam hai faqat kahani
Zameen boss ik roz woh bhi hoga
Mili taraqqi toh yaad rakhna
Tanazzuli bhi zaroor hogi
Jo jurm tum ne kia hai milke
Toh pairvi bhi zaroor hogi
Meri sadaon ko bhool kar tum
kahin pe shadaab na reh sakoge
Doob jaoge yaad rakhna
Nazar mila ke na reh sakoge
Kawishein toh yahi hain apni
Suraagh paa lein haan zindagi ka
Magar jo paaley hain aasteen mein
Woh saanp humko hi das rahe hain
Toh zara se apne yeh gosh kholo
Zara sa thehro aur hosh lelo
Hain kaamiyaabi ke hum muhafiz
Humi se chalta hai carvan yeh
Bargazidah humi huwe hain
Humi ko bakhshi hai badshahi
Humi huwe hain yahan khalifa
Toh hum se seekho zara saliqa
Bulandiyon pe nazar jhukao
Yun na tan ke tum sar uthao
Ke bartaraf bhi kiye hain Usne
Khalq ki hai haan kun mein jisne
Haan yun toh tum se gila nahin hai
Magar dil bhi tum se mila nahin hai
Zara sukoon se ab sochne do
Geisuon ko nochne do
Abhi se Asim kya thak gaye tum
Abhi safar hai taweel apna
Runama kai raaz honge
Silsila yeh daraaz honge
Siskiyon ko sula hi do tum
Bewafayi bhula hi do tum!
- Khan M. Asim... 05/10/2015... 01:18 AM..!

Hum ka karein parmaatma..!

Mohtarma ban gayi aatma
Hum ka karein parmaatma
Bhool ke saare masjid mandir
Ban beithe dharmaatma
Mohtarma ban gayi aatma
Hum ka karein parmaatma..! Asim

Nind ki sarhad se kouson door

Nind ki sarhad se
kouson door
Zindagi ka sitara
phadphada raha hai
Gumnaam chehre
Khauf ke saaye
Thartharati hawa
Garajte baadal
Raat ka sannata
Khamoshi
Aawargi
Qatil andeshey
Malikul maut ki aahat
Labon ki kapkapahat
Ungliyon ki jhatpatahat
Saanson ki tezi
Siskiyaan
Mazoor lamhe
Aye tawanai ke khaliq
Mujhe taqat de
Ke Tera deedaar kar sakun
Lele iss rooh ko
Teri paak panah mein
Aur mita de faasla
Mann o tu ka!
-Khan M.Asim 04/10/2015 03:15 AM!

Phir wahi kaali barsaat ki raat!

Phir wahi kaali barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Bheegte saahil pe liye haath mein haath
Der tak chalti unn nigahon se baat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat!

Naghma-go the shajar Jiske shaahid the hajar
Qurb tera tha qaher Uspe qaatil thi nazar
Chedne ki tabassum ki woh harkaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Bheegte saahil pe liye haath mein haath
Der tak chalti unn nigahon se baat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat!

Lamhe bheege the zulfon mein ulajh ke teri
Doob gaye the saanson mein mahek ke teri
Der shab ghar pahunchne ke lamhaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Bheegte saahil pe liye haath mein haath
Der tak chalti unn nigahon se baat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat!

Hum milenge mere mehboob magar ab ke baras
Haan keh de yeh baraan se zara jam ke baras
Hum manayenge phir se wahi barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Bheegte saahil pe liye haath mein haath
Der tak chalti unn nigahon se baat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat!
- Khan M. Asim... 03/10/2015... 10:34 PM... Home..!

Aakhir aisa kyun hota hai

Aakhir aisa kyun hota hai
Duniya itni ajeeb kyun hai
Mehnatkash ko faqat hain faaqe
Kaamchor ko rahat kyun hai
Hamdard na charahgar hain
Behrupiye Yeh naaseh kyun hain
Unko Mila hai man o salwa
Hum ko itni hajat kyun hai
Kabhi woh daur bhi aayega kya
Unko jab na hogi zaroorat
Kya tab bhi hum pe rehmat hogi
Ya laanat aur zehmat hogi?
Vaadon ki barsaat hai Goya
Jaane kab Yeh fasal kategi
Kaam karein hum
phal woh khaayein
Kisko Asim dard sunayein!
- Khan M. Asim.. 03/10/2015.. 1:00 AM!

Advaati dadvaati duvittu duvittu

Advaati dadvaati duvittu duvittu
Advaati dadvaati duvittu duvittu
Masti hai yaar hai
mausame bahaar hai
Dil pe mere waar hai
sab ka sangam pyaar hai
Advaati dadvaati duvittu duvittu
Advaati dadvaati duvittu duvittu! Asim
September 29, 2015 at 11:31am

Iss qadar noor mein nahaaye aaj

Iss qadar noor mein nahaaye aaj
Chaand takta tha uske chehre ko
Husn uska aur raat poonam ki
Bhool beithe jahaan ke pehre ko!

28/09/2015... Asim

Hai jaanam tu kahaan..!

Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan
Dhundta hun tujhko
Mein yahan wahaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan..!

Raat yeh niraali
zulf teri kaali
chup gayi kahan
Honton ki woh laali
Dhundta hun kab se
Tere hi nishaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan..!

Aa bhi ja kahin se
Aasmaan zamin se
Phool sab khilenge
Dil ki sarzamin se
Chaand, hain sitaare
Hai poori kehkashaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan!

Waqt hai gadariya
Beh raha hai dariya
Khaamoshi se aaja
Sooni hai atariya
Mezbaani kar le
Ya banja tu mehmaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan
Dhundta hun tujhko
Mein yahan wahaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan..!

- Khan M. Asim... 16/09/2015... 01:38 AM..!

Majra kya hai?

Majra kya hai?
Samajh nhi aata
Nind,
Palkon tak aake laut jaati hai
Aksar yahi anjaam hota hai
Shabgazidah zeest ruthi ho jaise
Abhi shayad koi tsunami baaki hai
Shayad koi aasmaan tootega
Aur barsega
Khwahishon ka baadal
Aur karedega
Iss tishnagi ko seraab..!
- Khan M. Asim.. 15/09/2015 03:03 AM!
Majra -matter, shabgazidah -smitten by night (insomnia) zeest- life, tishnagi -thirst, seraab - quenched, satisfied

Uff Yeh diwangi ka kaarobaar!

Shabgazidah, khud se bezaar
Uff Yeh diwangi ka kaarobaar! Asim
Shabgazidah - insomniac (smitten by night) khud - self, bezaar - restless, diwangi - madness (love) kaarobaar - trade

Sab se aala hai husn Allah ka..!

Sab se aala hai husn Allah ka
Sab se afzal hai ism Allah ka
Hai zameen uski aasmaan uska
Shams Allah ka noor Allah ka
Sab se aala hai husn Allah ka..!

Dariya hain uske kinaar bhi uske
Behro bar ke sab dayaar bhi uske
Hai chaman uska phool bhi uske
Quraan bhi uska rusool bhi uske
Sab se bar tar hai zaat Allah ki
Sab se aala hai husn Allah ka
Sab se afzal hai ism Allah ka
Shams Allah ka noor Allah ka
Sab se aala hai husn Allah ka..!
- Khan M. Asim ... 29/08/2015... 06:27 PM... Office!

Bula lo apne toofaanon ko sochte kya ho

Bula lo apne toofaanon ko sochte kya ho
Jo samandar ho toh shabnamon ko dekhte kya ho
Muqaddar mein likhi hogi toh maut bhi Manzoor
Magar hum jaan nisaaron ko kauste kya ho!

23/08/2015.... Asim

Gulab jamuns!

Flowers are blossoming
Spring at its youth
Time to say goodbye to autumn 
Fever have days only few
Courage is alive
I will be back soon
And will have those yummy 
Gulab jamuns!
21/08/2015...  Asim

dard ko aakhri kar de!

Zindagi ko hari bhari kar de
Maula kuch toh karigari kar de
Ya toh taaqat de dard sehne ki
Ya iss dard ko aakhri kar de! Asim

Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai

Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Meelon ghum ka sehra hai dard ek gehra hai
Bewafa muhabbat mein phir se dil yeh toota hai hai..
Phir se dil yeh toota hai hai phir se dil yeh toota hai hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se lagaya dil hai usne humko loota hai
Usne humko loota hai usne humko loota hai..!

Soona soona aangan hai beraham yeh saawan hai
Bekhudi ik tan-mann mein qaatilana tadpan hai
Bojh ab toh lagta yeh dhadkanon ka bandhan hai
Sach kahun muhabbat yeh yaaron ek uljhan hai
Bewajah sa jeevan hai Jo bhi tha woh choota hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Meelon ghum ka sehra hai dard ek gehra hai
Bewafa muhabbat mein phir se dil yeh toota hai hai
Phir se dil yeh toota hai hai phir se dil yeh toota hai hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Usne humko loota hai usne humko loota hai..!

Chaand ki masihayi raas hum ko na aayi
Taare teer hain goya kaisi raat hai chaayi
Muflisi ke aalam mein kaise ho muhabbat bhi
Bhoolna agar chaha toh yeh aankh bhar aayi
Kis se ho shikayat par jab naseeb phoota hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Meelon ghum ka sehra hai dard ek gehra hai
Bewafa muhabbat mein phir se dil yeh toota hai hai
Phir se dil yeh toota hai hai phir se dil yeh toota hai hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Usne humko loota hai usne humko loota hai..!

- Khan M. Asim... 17/08/2015... 12:44 AM..!

Zalim sochke ghabra jaaye

Ab ke kuch aisa kia jaaye
Aasmaanon tak sada jaaye
Na ho kisi mazloom pe zulm
Zalim sochke ghabra jaaye! Asim

Phir itna pareshaan kyun aakhir hun mein?

Mushrik hun, na munafiq o kaafir hun mein
Phir itna pareshaan kyun aakhir hun mein?

Kya bandah-e-momin ki ibadat ka sila hai
Kyun dard ka tohfa yeh mujhko mila hai?
Maula yeh samajhne se kaasir hun mein?

Sajdon mein afsha hain ehkaam jabin par
Ikhlaaq se milta hun har ruh se zamin par
Aisa bhi nahin apni hi khaatir hun mein!

Khan M. Asim..  August 7, 2015 at 7:13pm

Neither polytheist, nor hypocrite or atheist I am
Then why so much troubled I am? Asim

Husn Tera bada kamaal hai yeh

Kitna paicheeda sawaal hai Yeh
Husn Tera bada kamaal hai yeh

Kitna tere khayaal ne uksaya mujhe
Phir khayaal aaya khayaal hai yeh

Phir mashriq se tulu hua sooraj
Tera chehra tera Jamaal hai Yeh

Zindagi bemaani hai tere bin
Teri tashbih teri misaal hai yeh

Dil mein dhakdhak tere tabassum se
Tere dum se faqat fuaal hai Yeh

Chand lamhon ka Yeh guhan hai bas
Ishq apna magar la-zawaal hai Yeh

Tu bhi Asim ko woh samajhti hai
Dushmanon ki koi chaal hai Yeh!

- Khan M. Asim... 07/08/2015... 03:03 AM..!

zaafraan

Dheere dheere se sach nikharega
Rang maila hai jitna zaafraanon ka..! Asim
Slowly slowly the truth will clean
All the dirt from saffron's colour! Asim

sach

Kisi ki aankh ka noor kisi ki naasoor bana
Jo sach bolne nikla.. kitna majboor bana! Asim

gulposhi

Jinse umeed thi zeest-e-sehra ki shaadaabi ki
Ab woh aaye hain meri turbat pe gulposhi ke liye! Asim
Zeest - life, sehra - desert, shadaab - flourished, turbat - tomb, gulposhi - to offer flowers...

Naseem o shabnam

Yeh dard bhari shab, ghumzadah saher
Naseem o shabnam roothe hon jaise! Asim

Karta hai woh shikwah

Karta hai woh shikwah taghaful ka mere aaj
Mein Marta raha usne magar mudke nahin dekha! Asim
Today he complains of my ignorance to him
One who never looked back when I was dying! Asim

Zindagi azaab hai koi

Zindagi azaab hai koi
Bemuravvat hai waqt bedardi
Sar pe sooraj tapish ugalta hai
Hai paon ki bediyaan dharti!

Khan m. Asim... 10/07/2015..!

Ain sheen qaaf!

Kabhi kabhi chaand
Sirf paththar dikhayi deta hai
Aur raat faqat andhera
Umeed ki Lou
Jalti hai magar
Dil mein houl uthti hai
Ansuni cheekh
Andekhe anjaane
Khauf ke baadal
Anhoni ka darr
Mustaqbil ki peicheedgiyaan
Sozish, khalish
Mazhab, khayalaat
Humsafar
Magar Ikhtalafaat
Ujda ujda sa hai
Yeh dil ka utaaq
Dard
Qalb mein hota
Ek shigaaf
Jaan leva hai yeh
Ain sheen qaaf!
- Khan M. Asim... 10/07/2015... 12:04AM..!

Jaane tamanna jaane tamanna!

Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!


Zulfon ki bas kaali ghata ho
Palkon mein in din guzra ho
Sehra gulshan saath mein chalna
Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!

Lams Tera hai ik angara
Uff Yeh tabassum bhi hai sharara
Baahon mein teri aake jalna
Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!

Baat yahi hai tujhse kehni
Aur nahin Yeh doori rehni
Pyaar Kia hai phir kya darna
Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!

Aur nahin hai koi khwahish
Karni hai bas teri hi sataish
Zaanon pe teri humko marna
Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!

- Khan M. Asim... 08/07/2015... 12:34 PM.. Train..!

Phir dost dil se mila nahin kyun? ASIM

Bahut nibhai wafa thi usse,
Sukoon-e-dil phir mila nahi kyun?
Galey lagakar tha chooma usko
Phir dost dil se mila nahin kyun? ASIM

Husn ki laparwahi se ishq hua hai aawarah

Husn ki laparwahi se ishq hua hai aawarah
Jungle jungle bhatak raha hai dekho pagal banjarah!

Husn toh chalawah hai roop yun badalta hai
Jaise aasmaan kaali ghataon mein thaherta hai
Husn ik fasana hai isko kisne jaana jai
Ishq toh deewana ek nadaan becharah
Husn ki laparwahi se ishq hua hai aawarah
Jungle jungle bhatak raha hai dekho pagal banjarah!

Husn ki fitrat mein hai dhoka
Ishq ko isne aag mein jhonka
Kood pada aur hosh ganwaya
Ishq na maana kitna toka
Ishq ka phoota nikla Tara
Husn laalchi ik sayyarah
Jungle jungle bhatak raha hai dekho pagal banjarah
Husn ki laparwahi se ishq hua hai aawarah
Jungle jungle bhatak raha hai dekho pagal banjarah!
- Khan M. Asim... 01/07/2015... 11:29 AM..!

Tu ne baazi khel di ab ke hamari baari hai!

Zindagi kab tak bhala rehni yeh aah-o-zaari hai
Tu ne baazi khel di ab ke hamari baari hai!
- Khan M. Asim... 30/06/2015..!

Roshni ka minaar hai goya..!

Roshni ka minaar lagta hai
Husn uska mayaar lagta hai!
Har ek sanche mein dhaal deta hai
Ishq humko sunaar lagta hai!
Bekhudi bhi khudi mein hai shamil
Saans lena udhaar lagta hai!
Ghum ko shafqat se audh leta hai
Ishq maa ka dulaar lagta hai!
Phool Banta hai jab Tera chehra
Kitna pyaara sa pyaar lagta hai!
Kya kahein ke aaj hai doori
Qalb naala fughaar lagta hai!
Dekh le tu hijr mein Asim
Muddaton se bemaar lagta hai!

- Khan M. Asim... 29/06/2015... 11:57 AM..Train!

With another radeef:

Roshni ka minaar hai goya
Husn uska mayaar hai goya!
Har ek sanche mein dhaal deta hai
Ishq koi sunaar hai goya!
Bekhudi bhi khudi mein hai shamil
Saans lena udhaar hai goya!
Ghum ko shafqat se audh leta hai
Ishq maa ka dulaar hai goya!
Phool Banta hai har Tera chehra
Kitna pyaara sa pyaar hai goya!
Kya kahein ke aaj hai doori
Qalb naala fughaar hai goya!
Dekh le tu hijr mein Asim
Muddaton se bemaar hai goya!

- Khan M. Asim... 29/06/2015... 01:51 PM.. Office!

Please help my dear Bong!

o poem, song since long
There is something wrong
Bring back my confidence
Please help my dear Bong! Asim

Maut..!

Uljhan,
Kashmakash,
Justuju,
Peich
Khum
Gharq
Dil
Tareeki
Zahen
Udaasi
Yaas
Beem
Sogwaar
Naina
Bikhre
Geisu
Betarteeb
Lamhe
Bechaini
Betaabi
Khamoshi
Tanhayi
Ishq
Aatish
Hijr
Shab
Mein
Rooh
Majrooh
Intezaar
Aur
Maut..!
- Khan M. Asim... 13/06/2015... 02:00 AM!

Rakhte safar..!

Ajeeb hain lamhey
Dil behne laga hai
Na jaane kis paher
Yeh doob hi jaaye
Aitbaar ke parbat
Masmaar ho rahe hain
Aaj toh Khud se hum
Bezaar ho rahe hain
Umeed ki lov..
Phadphadane lagi hai
Zindagi jaane kyun
Thartharaane lagi hai
Jin se umeed thi
Samr denge humein
Unhi ashjaar se
Toot kar hum girey
Nasamjh kitne yeh
Mere ahbaab hain
Purza purza hai dil
Woh hain behis magar
Isliye sun aye dil
Na tu ghor kar
Tu na aansu baha
Na tu shor kar
Chal kahin aur chal
Chod kar yeh nagar
Ab yahan koi tera
Hai apna nahin
Poora hona yahan
Tera sapna nahin
Kisi sehra mein jaake
Basayenge ghar
Sang Asim ke tu
Pakadle yeh dagar
Itna mut soch tu
Baandh rakhte safar..!
- Khan M. Asim... 11/06/2015... 02:45PM.. Office..!

Kyun bas yaad tumhari aati hai..!

Jab mein tanhaa hota hun
Yaad tumhari aati hai
Mehfil mein pareshaan hota hun
Yaad tumhari aati hai
Tum khud hi kyun na chali aao
Kyun bas yaad tumhari aati hai..!

Zakhmi hai nazar chalni hai jigar
Aasaan nahin yeh dil ki dagar
Anjaan ho tum go hum se agar
Manzil ho tumhi meri yaar magar
Jab shaam ka sooraj hota hun
Yaad tumhari aati hai
Jab mein tanhaa hota hun
Yaad tumhari aati hai
Mehfil mein pareshaan hota hun
Yaad tumhari aati hai
Tum khud hi kyun na chali aao
Kyun bas yaad tumhari aati hai..!

Yeh duniya jab dhutkaarti hai
Jab qismat kodhey maarti hai
Taskeen-e-nazar tab ek faqat
Tasveer tumhari hoti hai
Yaadon ki tumhari saaye mein
Mein Khoon-e-jigar se rota hun
Jab mein tanhaa hota hun
Yaad tumhari aati hai
Mehfil mein pareshaan hota hun
Yaad tumhari aati hai
Tum khud hi kyun na chali aao
Kyun bas yaad tumhari aati hai..!

- Khan M. Asim... 31/05/2015... 04:46 PM... Office..!

Teri saans mein rahun mein

Teri saans mein rahun mein
Haan rahun ya na rahun mein
Tu kabhi na bhool paaye
Tujhe utna pyaar dun mein!

Jiye lab pe bas tabassum
Rahe tujh mein chaandni
Yeh nigaahein gungunayein
Meri shaam ki kahani
Jo koi na dene paaye
Woh maher ada karun mein
Teri saans mein rahun mein
Haan rahun ya na rahun mein
Tu kabhi na bhool paaye
Tujhe utna pyaar dun mein!

- Khan M. Asim... 30/05/2015... 05:09 PM..!

Tu bata kaise tera guzara hoga..!

Kab talak taghaful ka sahara hoga
Kaam hona hai woh hamara hoga
Vaadah karke jo bhool jata hai
Tu bata kaise tera guzara hoga..!

- Khan M. Asim... 26/05/2015..!

Wednesday, May 20, 2015

Kood padaa aur samandar nahin dekha meine

Kood padaa aur samandar nahin dekha meine
Tujhko chaaha toh muqaddar nahin dekha meine
Phool samjha tha naazuk thi adaa bhi teri
Jaane kya baat thi paththar nahin dekha meine!

Khan M. Asim... 16/05/2015... 11:25 PM!

Baatin hai tu maana zaahir bhi kabhi ho

Baatin hai tu maana zaahir bhi kabhi ho
Toor ka jalwah meri khaatir bhi kabhi ho!

Woh sirf magar kyun rahe ghazal ka markaz
Woh Shamm-e-faroza shayer bhi kabhi ho!

Yeh maana humin hain na-paak-e-jahaan par
Haan gard mein lipta taahir bhi kabhi ho!

Hum dard ki mehfil, ek bazm hai uski
Woh kyun rahe ghar mein muhajir bhi kabhi ho!

Yaaron ka basera, aghyaar ka pehra
Khilwat mein kahin woh haazir bhi kabhi ho!

Mein kyun usse dekhun khushbakht salamat
Manzar ka mere woh naazir bhi kabhi ho!

Ghalib sa ho lehja miley Iqbal ka darja
Alfaaz mein Asim, Sahir bhi kabhi ho!

- Khan M. Asim... 16/05/2015... 01:29 PM..!

Translation

Baatin hai tu maana zaahir bhi kabhi ho
Toor ka jalwah meri khaatir bhi kabhi ho!
Accepted you are hidden but appear sometime
Create Lightening of Toor for me sometime

Woh sirf magar kyun rahe ghazal ka markaz
Woh Shamm-e-faroza shayer bhi kabhi ho!
Why she should be the centre of poems only
That luminous candle should be poet sometime

Yeh maana humin hain na-paak-e-jahaan par
Haan gard mein lipta taahir bhi kabhi ho!
Accepted that i am the dirtiest in the world
But that pious must face the mud sometime

Hum dard ki mehfil, ek bazm hai uski
Woh kyun rahe ghar mein muhajir bhi kabhi ho!
I am life of pain, and then there is her comfort
Why should she relax, migrate sometime

Yaaron ka basera, aghyaar ka pehra
Khilwat mein kahin woh haazir bhi kabhi ho!
Friends around or rivals surround
She must meet alone sometime

Mein kyun usse dekhun khushbakht salamat
Manzar ka mere woh naazir bhi kabhi ho!
Why should i watch her happy and safe
She must be spectator of my joy sometime

Ghalib sa ho lehja miley Iqbal ka darja
Alfaaz mein Asim, Sahir bhi kabhi ho!
Ghalib's accent and Iqbal's excellence
Asim's words be like Sahir sometime!
*ghalib, Iqbal and Sahir are great urdu poets..!
- Khan M. Asim... 16/05/2015... 01:29 PM..!

Pyaar suna tha liberation hai pyaar suna tha aazaadi hai

Pyaar suna tha liberation hai pyaar suna tha aazaadi hai
Lekin jab pinjrey mein aaya tota toh bas ik qaidi hai
Soney se saji hain qafas ki salaakhein heerey ka hai taala
Jisko samajh beithe the mohabbat woh makdi ka hai jaala
Jisko dil ke khoon se seencha woh dasne ko ready hai
Pyaar suna tha liberation hai pyaar suna tha aazaadi hai
Lekin jab pinjrey mein aaya tota toh bas ik qaidi hai..!

Aankhon mein saiyyaad ki usne sapne buney the saare
Udna chaahe udd na paaye pankh katey hain saare
Zaalim ko di raaz ki chaabi, saans ussi ki bhedi hai
Pyaar suna tha liberation hai pyaar suna tha aazaadi hai
Lekin jab pinjrey mein aaya tota toh bas ik qaidi hai..!

Aazaadi ki chaah mein parinda cheekh raha hai kab se
Lekin uski fariyaadon ko bhool gayi woh kab se
Uska kehna aazaaadi toh pinjrey mein hi dedi hai
Pyaar suna tha liberation hai pyaar suna tha aazaadi hai
Lekin jab pinjrey mein aaya tota toh bas ik qaidi hai..!

- Khan M. Asim... 16/05/2015... 10:17 AM..!

Khwab hai woh bahishte pekar

Khwab hai woh bahishte pekar
Sach kahun toh zindagi uljhan

Maahru woh, phool woh shabnam
Dar haqeeqat hai dard ka maskan

Banke amrit khayaal mein rehna
Nichod kar dil kar lia manthan

Aap beeti kisey sunayein hum
Jhulas rahe hain aur hai tadpan

Ishq Asim faqat yeh jaana hai
Bekhudi hai aur hai pagalpan!

- Khan M. Asim... 11/05/2015... 06:04 PM..!

Betaab dil ki kali khil rahi hai..!

Betaab dil ki kali khil rahi hai
Jo tumse hamari nazar mill rahi hai
Haan nazdeek aate hi aasaan Hui hai
Ab tak jo humpe mushkil rahi hai..!

Ghazab dha gayi yeh muskaan hum pe
Adaon se hum pe haan bijli giri hai
Kasam se batate hain tumhare raaze ghum hum
Hamari kahani Yeh dil ki lagi hai
Yeh jalwa tumhara zamin hil rahi hai
Betaab dil ki kali khil rahi hai
Jo tumse hamari nazar mill rahi hai
Haan nazdeek aate hi aasaan Hui hai
Ab tak jo humpe mushkil rahi hai..!

Nahin koi chehra tumhare siwa ab
Nahin koi ulfat tumhare siwa ab
Tumhi aarzoo ho tum hi har khushi ho
Nahin koi apna tumhare siwa ab
Yeh masgaan Yeh abru qaatil rahi hai
Betaab dil ki kali khil rahi hai
Jo tumse hamari nazar mill rahi hai
Haan nazdeek aate hi aasaan Hui hai
Ab tak jo humpe mushkil rahi hai..!

- Khan M. Asim... 10/05/2015... 07:07 PM... Train..!

Nazara..!

Koi hamari nazron ko
Kuch aur nazara dikh la de
Tujhe dekh ke ek nazar zalim
Hum saare manzar bhool gaye!
Khan M. Asim...08/05/2015... 01:01 PM..!

Nathni..!

Mere dil mein gad gayi haiy teri nathni
Mere dil ne bhi toh haiy meri na suni...
shaam sawere dil mein hai
Ab Yaar teri nathni, nathni nathni..
Mere dil mein gad gayi haiy teri nathni
Mere dil ne bhi toh haiy meri na suni..!

Neino mein dubakar tu ne
Kar dia mujhko pagal
Meri qabar ka kutba ban gaya
Tera kaala kaala kajal
Teri ek nigah woh zalim
Mera seena kar gayi haiy chalni chalni
Mere dil mein gad gayi haiy teri nathni
Mere dil ne bhi toh haiy mer na suni...
shaam sawere dil mein hai
Ab Yaar teri nathni, nathni nathni..
Mere dil mein gad gayi haiy teri nathni
Mere dil ne bhi toh haiy meri na suni..!

Ab tere bina dil ko mile na sukun
Tu hi bata mausam se mein kya kahun
Tujhe dedun sab nazrana
Teri baahon mein haiy jiyun marun
Ab Mann marzi Yeh haiy nahin chalni
Haan teri hi sab se baat haiy karni
Mere dil mein gad gayi haiy teri nathni
Mere dil ne bhi toh haiy meri na suni...
shaam sawere dil mein hai
Ab Yaar teri nathni, nathni nathni..
Mere dil mein gad gayi haiy teri nathni
Mere dil ne bhi toh haiy meri na suni..!

- Khan M. Asim... 06/05/2015.. 09:36 PM.. Train..!

Honton ke aabshaar se seraab kar mujhe..!

Honton ke aabshaar se seraab kar mujhe
Zulfon ki iss bahaar se shadaab kar mujhe
Tere bagher koi keemat nahin jahaan mein
Jaane jahaan tu pyaar se naayaab kar mujhe
Honton ke aabshaar se seraab kar mujhe..!

Mausam hai, chaandni hai, uspe tu mehjabeen hai
Saare jahaan mein koi tujhsi kahan haseen hai
Baahon mein inn sama kar jee bhar ke pyaar kar le
Yeh aakhri hai lamha phir zindagi naheen hai
Honton se choomkar inn seemaab kar mujhe
Honton ke aabshaar se seraab kar mujhe
Zulfon ki iss bahaar se shadaab kar mujhe
Tere bagher koi keemat nahin jahaan mein
Jaane jahaan tu pyaar se naayaab kar mujhe
Honton ke aabshaar se seraab kar mujhe..!

Banjar zameen Yeh dil ki gulzaar ho rahi hai
Jab tujhko dekhta hun taiyyaar ho rahi hai
Kaajal se ek mujhpe bas waar ho rahi hai
Ab zindagi Yeh jaana dushwaar ho rahi hai
Aise tu door reh kar na betaab kar mujhe
Honton ke aabshaar se seraab kar mujhe
Zulfon ki iss bahaar se shadaab kar mujhe
Tere bagher koi keemat nahin jahaan mein
Jaane jahaan tu pyaar se naayaab kar mujhe
Honton ke aabshaar se seraab kar mujhe..!

- Khan M. Asim... 05/05/2015... 10:35PM... Train..!

Aakhri Nazam..!

Ji mein aata hai ke
Aakhri nazam likh dun
Aur...
Inn andheron mein sama jaon
Yeh jo har simt se,
Mujhe gherey huwe hain
Lamhe...
Khauf ki chaadar
Audhey huwe hain
Jazbaat ka aatish-fishaan
Yalghaar karne ko hai
Aur yeh nainon ka tursh aab
Jharna banne ko hai
Ek sailaab hai
Jo thehra hai abhi
Ek toofaan hai
Jo aane ko hai
Waqt ka gumnaam safar
Ek talatum ek bhanwar
Dum todti umeedein
Aur ghuroob hota dil
Parwaaz toh hai magar
Manzil la-taskheer
Jaise jaise shaam dhali
Manzar badla, khanjar badla
Dil shikasta ko panah na mili
Tumhe pukara bhi
Magar tum na mili..
Har sun bahaar chayi hai
Qudrat nikhar ke aayi hai
Hatta ke raat poonam ki
Lekin wahi amavas hai
Aaj phir khud ko
Be muddaa bewaja paya
Zeest ko khud se
Faqat khafa paya
Tareekiyon ka adhura safar
Chaand chamka toh sitarah maand
Sitarah roshan toh chaand naraaz
Khud ko khud mein pighlate dekha
Khilwaton mein marte dekha
Gaye kabhi jo mehfilon
Har shakhs ko ajnabi paaya
Charagh ki low yeh bujh rahi hai
Tadap rahi hai phadak rahi hai
Mein jaanta hun mein hi bura hun
Toh phir kyun aakhir mein ji raha hun
Na kaam aayi ghazal sarai
Na kaam aayi yeh roshnayi
Haan paani huwe hain ab toh sab
Khoon bhi, pasina bhi
Mutnaffur huwe hain ab toh sab
Tum bhi, aaina bhi..!

- Khan M. Asim... 04/05/2015... 02:34 AM..!

Translation

Contemplating,
To pen my last poem
And
Then be dissolved into darkness
That has over taken me
From all the sides
Moments,
Are full of fear
Volcano of emotions
Is about to erupt
And this water of eyes
Is about to fall
A flood is calm yet
A cyclone is yet to come
Anonymous journey of time
A swirl, a whirlpool
Breath-taking hopes
And drowning heart
There is will but
Goal is unconquerable
As the evening set
Scene changed, dagger changed
The lost heart didn't find solace
Screamed for you
But you wasn't there
Its spring everywhere
Nature is afresh
In fact its full moon night
But it’s the same murkiness
Today again found self
Without aim and useless
And life is just angry with me
The incomplete journey of darkness
If moon glows the star dies
If star shines then moon cries
Seen self melting within
Dying in the dark
Ever been among the people
Found them stranger
This lamp is on the verge of death
It’s fluttering and floundering
I know I am bad
Then why I am alive?
Neither ghazal worked out
Nor the ink supported
Everything just turned water
Blood, and sweat too
And they all hate me
You and mirror too..!
- Khan M. Asim... 04/05/2015... 02:34 AM..!

Muhabbat toh nahin karti magar vaadah woh karti hai!

Ajab hai peich baaton mein ishara khoob karti hai
Na jaane kaisi uljhan hai faqat aahein woh bharti hai
Woh bikhra ke yun zulfon ko nazar se waar karti hai
Muhabbat toh nahin karti magar vaadah woh karti hai!

Khan M. Asim... 03/05/2015... 01:32 AM..!

Woh cheen lega wujood bhi tum se

Woh cheen lega wujood bhi tum se
Jisko masnad pe tum bitha aaye
Tum ko lagta hai tum amaa'n mein ho
Mein samajhta hun sab luta aaye!

Khan M. Asim.. 23/04/2015... 04:29 PM..!

Aap ke naam se khwaab buntey gaye

Aap ke naam se khwaab buntey gaye
Khwaab buntey gaye dard ke vaastey

Ab yeh jana khata kis qadar hum ne ki
Chal pade saath hum, the juda raastey

Aap ke naam se khwaab buntey gaye
Khwaab buntey gaye dard ke vaastey..!

Khan M. Asim... 17/04/2015..!

Ladki tu classy hai..!

Dil mera sharaabi hai
Ladki tu classy hai
Tujhe jaana tujhe chaha
Yaad teri aati hai
Ladki tu classy hai..!

Khan M. Asim.. 14/04/2015..!

Adhura pyaar hun mein..!

TUmhe kya bataon kitna haan beqaraar hun mein
Jo kabhi na khatam hoga woh intezaar hun mein
Zeest se pareshaan khalish hai zehen o dil mein
Ek sadaye be shunidah adhura pyaar hun mein..!

Yeh husn Yeh bahaarein Yeh chaandni Yeh raatein
Yeh harf harf sunna haan ulfaton ki baatein
Kal agar na Yeh huwe toh dasengi humko yaadein
Tumhe kya bataon kitna be ikhtiyaar hun mein
TUmhe kya bataon kitna haan beqaraar hun mein
Jo kabhi na khatam hoga woh intezaar hun mein
Zeest se pareshaan khalish hai zehen o dil mein
Ek sadaye be shunidah adhura pyaar hun mein..!

Mein bata hun zarrah zarrah bahut daaghdaar hun mein
Jo khud hi ka ho na paaya be aitbaar hun mein
Yeh shikan shikan se lamhe Yeh khwabe be haqeeqat
Haan saubaton ka maara aibdaar hun mein
TUmhe kya bataon kitna haan beqaraar hun mein
Jo kabhi na khatam hoga woh intezaar hun mein
Zeest se pareshaan khalish hai zehen o dil mein
Ek sadaye be shunidah adhura pyaar hun mein..!

- Khan M. Asim... 10/04/2015... 10:05 PM.. Train..!

Tere bagher saawan udaas hone laga!

Hawa chali toh mann udaas hone laga
Tere bagher saawan udaas hone laga!

Chali gayi jo beitha hun tanha mein
Dhadkanon ka bandhan udaas hone laga!

Tujhe yeh zid hai ke khana kha lun mein
Tere bagher bartan udaas jone laga!

Khan M. Asim... 10/04/2015

Khamosh kab tak pyaar karun!

Kab tak tumhara intezaar karun
Khamosh kab tak pyaar karun

Izhaar karne ki himmat nahin
Na hai chahat ke inkaar karun

Ishq khud hai munazzam taqat
Kab talak khud pe ikhtiyaar karun

Yeh tere nein yeh abru o gaisu
Kya misaal dun kya istiaar karun

Dil yeh tishna ab toh besudh hai
Beqaraar ko kaise ba-qaraar karun

Jaldi aaja ke abhi zinda hun
Kya pata kab ruh faraar karun

Aur kya Asim naseeb hai apna
Raahe aasaan ko khud hi dushwaar karun!

-Khan M. Asim... 09/04/2015... 06:17PM..!

Husn ki chahat hai sarmaya!

Raah na paayi dil ne koi
Jisko dekha khud-sar paya
Ishq ki parwa kisko Asim
Husn ki chahat hai sarmaya!

Sookhe dariya nein hamare
Madhdham madhdham marte taare
ashk ka hai ik banjar sehra
Kaale hain yeh manzar saare
Loot lia hai hum ko usne
Jis ne jab bhi haath badhaya
Raah na paayi dil ne koi
Jisko dekha khud-sar paya
Ishq ki parwa kisko Asim
Husn ki chahat hai sarmaya!

Baat wahi kyun yeh nahin karta
Jis ko aaye isko nibhana
Kitna karta ahde wafa hai
Jhoota hai yeh saara zamana
Hum pe laazim sab kuch karna
Uski wafa hai farz-e-kifaya
Raah na paayi dil ne koi
Jisko dekha khud-sar paya
Ishq ki parwa kisko Asim
Husn ki chahat hai sarmaya!

- Khan M. Asim... 07/04/2015... 07:30 PM.. Office!

Nigahon ne teri loota adaon ne teri maara

Nigahon ne teri loota adaon ne teri maara
Kahe bhi kya kare bhi kya dil yeh bechara

Haath se haath mila zulf ki de de tu ghata
Tu meri, mein tera, sun mere yaara...

Nigahon ne teri loota adaon ne teri maara
Kahe bhi kya kare bhi kya dil yeh bechara..!

- Khan M. Asim... 05/04/2015..!

Housley ka tu mere kya muqabla kar payega

Housley ka tu mere kya muqabla kar payega
Kashtiyaan apni jala ke saahil pe tu kya aayega

Teer hain aur na sipar hai haath khaali hain mere
Maarna hai maar de, tu magar mit jayega

Lab pe kalmae shahadat, dil ba-imaan rushnaa
Zulm Tera kaamraan kyun bhala ho payega

Kaargar Yeh Tera fitna aur kya ho payega
Jhoot ke mehlon mein beitha sach se tu mar jayega

Mustufa ke naam se mansoob gar hojayega
Dekh deewana Tera Yeh jahaan ho jayega

Jald tu bhi dekhna lamha woh bhi aayega
Kalmae tawheed sang yeh jahaan dohrayega

Khud aitmadi ho buland toh jahaan Tera hua
Naatwaan Asim se bhi aasmaan dar jayega!

- Khan M. Asim... 03/04/2015... 02:53 AM..!

Yeh dil itna beqaraar kyun hai!

Yeh dil itna beqaraar kyun hai
Sukoon aakhir faraar kyun hai

Masarratein hain jo tere dum se
Toh lamha-e-ashkbaar kyun hai

Tumhein jo hona hai meri jaana
Toh phir itna intezaar kyun hai

Samandaron se bhi gehri baatein
Chadhao kyun hai utaar kyun hai

Nashemanein hain ba-nok-e-rehzan
Jahaan mein itna ghubaar kyun hai

Suna hai tedhi hai chalti dhadkan
Toh lakeer phir istewaar kyun hai

Hum hi hain Asim jahan-panah gar
Toh hum pe itna udhaar kyun hai

- Khan M. Asim... 24/03/2015... 07:11 PM..!

Words - Meanings

Beqaraar - restless, sukoon - peace, faraar - abscond, Massarat - happiness, lamha - moment, Ashkbaar - tearful, Intezaar - wait, Chadhao - high, Utaar - low, Nasheman - house, Ba-nok-e-rehzan - On the knife of a robber, Jahaan - world, Ghubaar - dust, lakeer - line, istewaar - straight , Jahan-panah - Mighty King, Udhaar - Credit

Noor-e-Nazar!

Hawayein nawazishon ki chalana mere khuda
Noor-e-nazar ko bad se bachana mere khuda

Sachchi dagar dikhana, aamaal nek rakhna
Kirdaar-e-Fatima se sajana mere khuda

Kal ja ke Yeh karein haan duniya mein naam roshan
ILm-o-hunar ka dede khazana mere khuda

Hamesha rahein salamat, haq ki banein alamat
In ke hi geet gaaye zamana mere khuda!

- Khan M. Asim... 16/03/2015.. 08:40 PM...
A gift to beautiful daughters from their poor uncle.. ‪#‎Amjad‬ Khan bhai...

Intezaar..!

Jaanti ho,
Kya hota hai
Tumhare jaane ke baad?
Intezaar...
Be-muddat
La-mehdood
Noori saalon pe pheila
Intezaar...
Aaj tumko dekha bhi nahin
Ek kasak hai dil mein
Jigar-kharaash
Aur ek khanjar hai
Intezaar...
Tum jald laut aana
Muntazir mein hi nahin
Uroos-ul-bilaad bhi hai
Sabz patte aur
Surkh gulaab bhi hain
Neela samandar aur
Aaftaab bhi hain
Chaand tumko talash karta hai
Mutlashi aasmaan bhi hai
Abar takte hain
Aur kawakib karte hain
Intezaar...
Uff!
Yeh humko udaas rakhta hai
Dard aas paas rakhta hai
Kher
Yeh bhi jawaaz rakhta hai
Yaadon ko raaz rakhta hai
Aur,
Tumhare jalwey ke baad
Gohar-o-almaas lagta hai
Intezaar..!
- Khan M. Asim... 15/03/2015... 11:52 PM..!

Translation

Do you know?
What happens?
Once you leave
Wait...
Indefinite
infinite
Spread on light years
Wait...
Couldn't witness you today
An ache in heart
Deep scratching
A dagger
Wait...
You return soon
Only am not waiting
Even bride of cities (Mumbai)
Green leaves
Red Roses
Blue sea
The sun
Moon looks for you
Sky seeks you
Clouds stares
And stars
Wait...
Alas!
It pisses me off
It pains me a lot
Well,
It has the reasons
Secrets of seasons
And,
After your arrival
Becomes a jewel
An emerald
Wait..!
- Khan M. Asim... 15/03/2015... 11:52 PM..!

Kab se dil bechain hai tere bagher!

Kab se dil bechain hai tere bagher
Aa karein ab sung hum duniya ki ser

Fateh-e-Husn-e-adu, la-faani hun
Ik nigaah-e-naaz se kar le tu zer

Chodkar duniya mein saari aa gaya
Lamha lamha tera hun kar na tu der

Woh ghata zulfon ki aur tapta badan
Kaisi hai woh shaen shaen her pher

Aur kya jalwa hai Asim kya kahein
Muntazir-e-husn-ara hum hain dher!

- Khan M. Asim... 07/03/2015... 07:54 PM!

Hum dogle mard!

Hum Mirreekh ke musafir
Tehzeeb o tamaddun ke muhafiz
Bada hi naaz hai humko
Hamari tareekh pe, saqafat pe
Hamari iqdaar sab se aala hain
Hamara akhlaq sab se afzal hai
Jaante hain kyun?
Kyunke hum dogle hain
Hum ne kabhi....
Apne grebaan mein jhaanka hi nahin
Warna khayal o khwab ke yeh mahel
Kab ke masmaar ho jaate
Aur munhadim ho jaati
Hamare jhoot ki har deewaar
Aurat kya hai? uski kya awqaat...
Koi haisiyat hi nahin,.
Hum jins parast
Sirf nochna jaante hain
Aakhir ko hum mard hain
Hum jo chaahein karein
Aurat sirf araam dene ke liye bani hai
Aurat ek shai hai,
Hamare istemaal ke liye...
Na na na...
Hum toh usko devi maante hain
Uske qadmon ke neeche jannat hai
Aurat hamari izzat hai
Ghar ki raunaq hai,lakshmi hai
Lekin jab usko dekhte hain
Toh hamari nigaahein...
Larazti hain, ubalti hain
Phir chaahe woh,
Kisi bhi roop ya umar ki ho
6 ki, 16 ki ya 36 ki
Usko choone ka haq hai humko
Iss mein kaisi sharam,
Humein toh fakhr hai
Apne maazi pe, apni kartooton pe
Aurat to devi hai
Hum hain uske daas
Haina,
Hum sirf baaton ke sher hain
Amal kaun karta hai
Hum dogle hindustani
Hum dogle mard!
- Khan M. Asim... 06/03/2015... 01:56 AM..!


Translation

We the Mars voyagers
Guards of culture and civilization
We are immensely proud of
Our history, our tradition
Our values are greatest
Our behaviour is the best
Do you know why?
Because we are Hypocrites
We never...
Cross checked ourselves
Otherwise this hallucination
Would have been dead long ago
And must have been razed
Every wall of our lies
Who is woman? What’s her value?
She has no value
We, the skin lovers
Knows only pinching
After all, we are men
We do what we want
A woman is born to satisfy
She is just a thing
For our usage
No, no, no...
We believe her as deity
There is heaven beneath her
She is our pride
She enlightens our abode
She is the prosperity
But when we gaze at her
Our eyes shiver, simmer
Then let her be of
Any appearance, any age
Be it six, 16 or 36
We have right to feel her
What shame in it?
We are proud of,
Our past, our deeds
Woman is a deity
And we are her disciples
Aren't we?
Just the jerks
We don’t practice (what we preach)
We the hypocrite Indians
We the hypocrite men!
- Khan M. Asim... 06/03/2015... 01:56 AM..!

Baadalon se koi keh de kahin ja ke chup jaayein!

Baadalon se koi keh de kahin ja ke chup jaayein
Hum bhi ja ke chupke se mehbooba se mil aayein! (2)


Koi toh saath de aasmaan tu mera
Todna todna aise tu dil mera
Aasmaan pe koi jaake ghataon ko lipta de
Pyaase pyaase do badan ta ke yahan mil jaayein
Baadalon se koi keh de kahin ja ke chup jaayein
Hum bhi ja ke chupke se mehbooba se mil aayein!

Ishq mein dooriyaan hain sitam jaanejaan
Paas aa dilrubaa, aa mere paas aa
Kab talak darmiyaan, log honge yahan
hum bhi ek doosre min aaja milke kho jaayein
Baadalon se koi keh de kahin ja ke chup jaayein
Hum bhi ja ke chupke se mehbooba se mil aayein!

- Khan M. Asim... 01/03/2015... 07:03 PM..!

Qaum jo buzurgon ke ifkaar bhool jaati hai!

Qaum jo buzurgon ke ifkaar bhool jaati hai
Hoti hai pashemaan bas aur nazar jhukati hai

Bargazidah sultani aayi jiske haq mein thi
Aaj khud se hairaan woh qaum tilmilati hai

Hashar mein mile kausar khwab sabka derina
Jhoot ke pulandeh ko qaum woh sajati hai

Chod do yeh beimaani aur bano amin, sadiq
Dekho phir na kaise yeh zeest khilkhilati hai

Shukria tera maula peshwa dia hum ko
Peshwa hain Mustufa zeest mukurati hai

Paighaam yeh Mohammed ka doston mere sun lo
Mujhse dosti kar lo kaamraani aati hai

Ek adna yeh ASIM kya karega duniya mein
Kaam gar karein milke kaamiyaabi aati hai!

- Khan M. Asim... 19/02/2015... 02:35 PM..!

Deedaar ek baar aur pyaar hogaya!

Deedaar ek baar aur pyaar hogaya
Roz o shab mein Tera bemaar hogaya

Tishna wa bekal o bezaar hogaya
Yeh dil Tera deewana talabgaar hogaya

Be-raah-Ravi woh saari ik simt hogayi
Dekha tujhe hai jab se samajhdaar hogaya

Jab se bani tu naaseh duniya badal gayi
Thokar mein jee raha tha khud-daar hogaya

Barsenge ek din Yeh gardishon ke baadal
Sooraj ne Yeh kaha hai iqraar hogaya

Khud-sar, taqabburon mein jeene de ab mujhe
Mein jaanta hun tujh pe ikhtiyaar hogaya

Teri nigaah mein aake qeemat badal gayi
Bechun hun khud ko jaise baazaar hogaya

Aayi jo tu woh kehte the bekaar hogaya
Lekin mein shabgazidah bedaar hogaya

Roshan huwa hai tujhse tareek dil ka kamra
Asim ki mumlikat ka aasaar hogaya!
- Khan M. Asim... 19/02/2015... 02:47 AM..!

Tu hi diwaan mera, Tujhko kuliyaat kahun..!

Kya ghazal Teri nigahon pe kahun
Kya ghazal Teri adaon pe kahun
Tu mukammal hai meri jaane hayaat
Tu hi diwaan mera, Tujhko kuliyaat kahun..!

Din se dhalta hun toh shab Teri hai
Shama dhalti hai subah Teri hai
Har paher bazm teri, pal Tera, lamha Tera
Mere khwabon mein faqat ek jagah teri hai
Dil bhi Tera hai, khaame bhi hai Tera mehkoom
Tu hi keh de ke ghazal kaise kahun
Tu hi diwaan mera, Tujhko kuliyaat kahun
Kya ghazal Teri nigahon pe kahun
Kya ghazal Teri adaon pe kahun
Tu mukammal hai meri jaane hayaat
Tu hi diwaan mera, Tujhko kuliyaat kahun..!
- Khan M. Asim... 17/02/2015... 01:24 AM..!

Mitt chuke hain dil ke jitne daag rahe hain!

Kaajal se sharma kar baadal bhaag rahe hain
Armaano ke sholay phir se jaag rahe hain
Baahon mein teri aakar nirvaan mila
Mitt chuke hain dil ke jitne daag rahe hain!
Khan M. Asim... 12/02/2015..!

Saturday, January 31, 2015

Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe..!

Narm honton se tere peene de mujhe
Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe
Kaali zulfon ki ghata choone de mujhe
Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe..!

Chaal Teri hai saba nein Yeh kehkashan
Khushbuon mein tu basi taare tere nishan
Baaho mein aake teri meine paya hai jahan
Hai tu hi door talak tu koi aasmaan
Chaak girba'n hun zakhm seene de mujhe
Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe..!

Jitna dekhun hun tujhe utna badhta hai gumaan
Har taraf ek tu hi tu yahan tu hai wahaan
Khud mein hi khone laga mujh mein bhi tu hai nihaan
Saare aalam ne kaha ek tu hi bas hai jawaan
Khud ko paya hai abhi, abhi khone de mujhe
Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe..!

- Khan M. Asim.. 31/01/2015... 01:10 PM.. Train..!

Friday, January 23, 2015

Hum tere dar ke sail hain

Hal kar de jitne masail hain
Hum tere dar ke sail hain

Bandey hain tere par dekh humein
Hum tangdasti pe mail hain

Tujhe ek faqat kya kun kehna
Tere laakhon haath wasail hain

Bas ek ilah-e-wahid tu
Tere saare aalam qail hain

Sajdey mein tere hain jin o ins
Jibreel-e-ameen, Mikail hain

Tera hi hai jalwah har jaanib
Aaqil ke liye kya dalail hain

Aayat-e-kursi aur Qul ke
Asim kitne fazail hain!

- Khan M. Asim... 23/01/2015... 01:08 PM.. Office..!

Thursday, January 22, 2015

Miyaon miyaon..!

Shaam nikle, Shab nikle, saher nikle, paher nikle
Talaash-e-ishq mein Asim kahan kahan nikle!
Ishq Mila darwaaze pe
Ishq Mila Chauraahe pe
Per pasare beitha tha
Aas lagaye beitha tha
Ab aayega, aur pukarega
Muntazir tha pur umeed
Naram o naazuk shaant nigahein
Dhoondein bas ekaant nigahein
shikam ser jab ho jaye
Phir woh sher ho jaye
Khel kood masti shor
Ik hungama barpa karta hai
Daudayegia, puchkarega
Idhar kaune se
Udhar chupke se
Mujhko ishq bulata hai
Miyaon miyaon..!
- Khan M. Asim... 21/01/2015... 07:01 AM..!

Dekh rahe hain tanha baadal

Dekh rahe hain tanha baadal
Hum hain kitne paagal
Shaam dhali toh yaad aaya hai
Phir uska hi aanchal
Dekh rahe hain tanha baadal
Hum hain kitne paagal..!

Uska pehlu uski baatein
Aur apni mulaqaatein
Husn se parda uthta girta
Aur gulaabi raatein
Jaadu karta qalb o nazar pe
Aankhon ka woh kaajal
Dekh rahe hain tanha baadal
Hum hain kitne paagal
Shaam dhali toh yaad aaya hai
Phir uska hi aanchal
Dekh rahe hain tanha baadal
Hum hain kitne paagal..!

Chaand khila hai
Dariya bhi hai dono haath phelaye
Dekh rahe hain tanha bebas
Uss ke bin pachtaye
Zahen pe chaya yaas ka baadal
Aur hua hai dil shal
Dekh rahe hain tanha baadal
Hum hain kitne paagal
Shaam dhali toh yaad aaya hai
Phir uska hi aanchal
Dekh rahe hain tanha baadal
Hum hain kitne paagal..!

- Khan M. Asim... 03/01/2015... 06:47 PM.. Goa.. Missing you :(

Tuesday, January 20, 2015

life..!

Read the Front page Story of today's Mumbai Mirror "After ISIS blot, Arif Majeed's college sets about cleaning house" - Namaz shifted from playground to basement, internet connections secured, trustees counsel students...
Its good that the Anjuman Islam is taking security steps. I don't know how many of you may come forward to criticize my own lifestyle, regarding punctuality of namaz. But the thing which made me think upon, is Namaz so dangerous that it has to be reduced from 5 times to one time? I haven't heard that after arrests of a Hindu or a Christian their institutions stopped or cut down the performance of prayers on campus. Missionaries 'worldwide' or Hindu institutions never hesitated in performing their religious practices in their campuses.
A crime committed by one individual doesn't arise punishment upon the entire community or class. I am wondering what has happened to the Management of the institution. Is the management so afraid or have they lost faith in Islam..? The five times prayer helps in keeping a sound and peaceful mind.
I do believe that religion and academics shouldn't be mixed up as it confuses the students. But am more confused now, what has namaz to do with it? Either you completely stop religious activities in your institution or continue it, but what does this toning down means? A mere reducing namaz from 5 time to once in a day? or shifting its venue to basement from playground?
Anjuman Islam is Muslim trust, its a minority institution so they allow Islamic practices on their campus but this toning down is a wrong indication, its defaming Islam. Just because a student who had his own fancies and went astray, doesn't mean you stop your regular life. 5 times namaz is a regular part of a Muslim persons life.
I feel the ‪#‎Anjuman‬ Islam trust must reconsider its decision. More than defensive its a defaming measure taken by them..
(This is my personal view, it has nothing to do with any politician or political party)

Tum kaun ho..?

Israfeel...
Kab phunkoge soor?
Kya koi aur qayamat..
Baaqi hai?
Ya zeest ka naala sunne ko
Mehshar abhi taiyyaar nahin!
Yeh surang..
Badi bhayanak hai
Sannata aur khauf
Larazti nigahein
Siyah ujala
Siyah saaye
Siyah dushman
Siyah dost
Aur...
Siyah maut!
Kaun, kab..
Kahan se aaye
Kuch khabar nahin...
Umeedon ka jungle
Raakh ho chuka..
Khwahishon ki fasal
Tabah hogayi..!
Namaloom raahein
Namaloom manzil
Na caravan hai
Aur na zaade raah
Bhooka, tishna
Betarteeb..
Ludhakta, girta
Sehma musafir...!
Kal ki haseen vaadiyan
Aur..
Siyasi taabeer...
Beej uska,
Paani uska
Aur,
Kulhadi bhi uski!
Zarkhez zamin the
Ab banjar hain hum
Apne hi qaatil,
Khanjar hain hum..!
Waqt ki dhayi chaal
Zindagi shatranj ki bisaat
Aaj mohrey kaale hain
Kal shayad safed honge
Aur Yeh piyadah
Shayad vazeer ho...
Tab mein puchunga...
Tum kaun ho?
Mein kaun hun..?
- Khan M. Asim... 17/01/2015... 02:53 AM..!

Yeh waqt hai sapera..!

Dard ne hai ghera
Meelon hai andhera
Na Tera hai na mera
Yeh waqt hai sapera..!

Kaun samjha hai
Kisne jaana hai
Teer hai kis ka
Kya nishana hai
Ulfatein, ranjishein
Khwahishon ka basera
Dard ne hai ghera
Meelon hai andhera
Na Tera hai na mera
Yeh waqt hai sapera..!

Haath aata hai
Choot jaata hai
Dil bahelta hai
Toot jaata hai
Bewafa hai savera
Ishq hai lootera
Dard ne hai ghera
Meelon hai andhera
Na Tera hai na mera
Yeh waqt hai sapera..!
- Khan M. Asim... 13/01/2015.. 12:46 AM..!

Maut...!

Maut...
Aakhir tu kyun nahin aati?
Zeest se hairaan
Hum tishna labon ko
Seraab kyun nahin karti?
Har jaanib...
Ik dhuwan hai
Aah hai, fughan hai
Zahen muqeed hai
Har aarzu baeed hai
Agar kuch hai toh bas
Naumeedi, yaas hai..
Zarkhez khwaabon ki
Lehlahati ta'beer
Khizaan raseedah hai
Shariyaanon mein
Laava ubal raha hai
Dil dahek raha hai
Yeh abr aalood fiza
Kabhi roshan o munawwar hogi?
Kab chatengey Yeh siyaah baadal?
Kya koi intehaa bhi hai?
Sitaare toot kar..
Gir rahe hain, mar rahe hain
Waqt, taareek azdaha
Sab kuch nigal raha hai
Ek kal hai
Aata hai, guzar jaata hai
Magar...
Kabhi na khatam hone wala
Intezaar...
Door, bahut door tak
Phaila hua intezaar..
Aur uspe,
Yeh be-asar naaley
Bemuravvat pal..
Dard ka aatishfishaan
Aur jhulasti khudi
Aakhir Yeh imtihaan kab tak?
Khatam kar de Yeh intezaar
Apni baahon mein bhar le
Mujhe khud mein sama jaane de
Mein Tera hun
Mujhe apna bana le
Maut tu umeed hai
Maut tu hi zindagi hai
Maut tu mehbooba hai
Maut tu hi ishq hai...
Aaja...
Aur mukammal karde
Khud ko bhi..
Aur mujhko bhi..!
- Khan M. Asim... 08/01/2015... 12:28 AM..!

Happy Birthday Arpi :)

Kya kahun mein dil ka aalam
Isko bas hai intezaar
Zindagi mein aake jaana'n
Poora kar do mera pyaar!

Bin tumhare mein adhura
Tum hi ho meri dua
Tum se hi roshan jahaan
Tum shafaq ho tum shua
Khud se kitna ajnabi hun
Khud se kar do aashkaar
Kya kahun mein dil ka aalam
Isko bas hai intezaar
Zindagi mein aake jaana'n
Poora kar do mera pyaar!

Aarzoo tum justuju tum
Sehar o shab ki guftugu tum
Khwab mein tha ek saaya
Haan wahi ho hu ba hu tum
Kya kahein ab aur jaanan
Humko hai tum se hi pyaar
Kya kahun mein dil ka aalam
Isko bas hai intezaar
Zindagi mein aake jaana'n
Poora kar do mera pyaar!
- Khan M. Asim... 02/01/2015... 09:58 PM... Goa.. Happy Birthday Arpita Aparna Sarkar smile emoticon

A woman..!

Everytime I meet her,
I find her different...
A woman have thousands of shades...
Its been so longtime...
But am yet to discover original her...
May be, that's the originality..!
The looks of those kohled eyes
Holds me, intoxicates me
And sometimes am frightened
They holy, they lovely
They captures me wholly
I breath in, I sink in
Its one way, no exit!
Its ocean, its dark deep
Its a million year leap
Only desire that I have
In her arms sound sleep..!
So next time I see you
Let me just feel you
Don't push me
Don't throw me
Just hug me
And love me..!
- Khan M. Asim... 25/12/2014... 10:08 AM..!

Inn hasraton ka koi aasmaan bhi hoga!

Dil-e-naatwaan ka koi paasbaan bhi hoga
Inn hasraton ka koi aasmaan bhi hoga

Pur-khaar hain jo raahein gulzaar bhi banengi
Hum taajdaar honge aisa jahaan bhi hoga

Phabtiyon ka lamha, khilwat mein aah o zaari
Aur Yeh udaas lamha kabhi shaadmaan bhi hoga

Yeh dhundlakon ka saaya kaisi ajab hai maaya
Aye kaamraani Tera koi nishaan bhi hoga

Manzil ki raah dikhaye koi Khizar toh aaye
Haan sang-e-meel koi caravaan bhi hoga

Kya aasmaan yahi hai saara jahaan yahi hai
Shams o qamar ke kuch toh darmiyaan bhi hoga

Meelon Yeh chalte rehna kabhi paidaar hoga
Mumbai tere jigar mein apna makaan bhi hoga

Tehzeeb se beparwah haq baat jo kahega
Ik be-lagaam hum sa koi badzubaan bhi hoga

Ik toh gulabi sardi, tanhaiyaan bedardi
Asim koi jahaan mein hum sa jawaan bhi hoga!
- Khan M. Asim... 22/12/2014... 03:30 AM!

Doobti hai roshni...!

Mod kaisa aagaya Yeh
Roonth beithi zindagi
Ik khila hai darmiyaan
Doobti hai roshni...! (2)

Uljhanein hi uljhanein hain
Caravan bhi kho gaya
Ik sitarah rehnuma tha
Maand woh bhi ho gaya
Noor se dhaltey gaye
Taareekiyaan humko mili
Ik khila hai darmiyaan
Doobti hai roshni
Mod kaisa aagaya Yeh
Roonth beithi zindagi
Ik khila hai darmiyaan
Doobti hai roshni...!

Na koi humdard apna
Na koi hai charahgar
Thokarein hi thokarein hain
Hai kathin dil ki dagar
Aur koyee Hal nahin
Bebasi hi bebasi
Ik khila hai darmiyaan
Doobti hai roshni
Mod kaisa aagaya Yeh
Roonth beithi zindagi
Ik khila hai darmiyaan
Doobti hai roshni...!

Cheekhta hai dil bahut
Khamosh par hai aasmaan
Kar de koi maujazah
Maalik-e- dono jahaan
Kaisa sila humko Mila
Hum ne toh ki bandagi
Ik khila hai darmiyaan
Doobti hai roshni
Mod kaisa aagaya Yeh
Roonth beithi zindagi
Ik khila hai darmiyaan
Doobti hai roshni...!
- Khan M. Asim... 08/12/2014... 01:54 AM..!

Badnaam-e-zamana, ruswa-e-muhabbat

Badnaam-e-zamana, ruswa-e-muhabbat
Gumnaam mehfil se Dushnaam-e-muhabbat
Phir aaye hain dar pe, hai ishq ki aadat
Nazron ke nishane karte hain shararat
Hum toba kar chuke, karte hain nadamat
karta hai muhabbat, Yeh dil hai begherat
Badnaam-e-zamana, ruswa-e-muhabbat..!
- Khan M. Asim... 06/12/2014... 01:54 PM... Office..!

Bewafai ko bhi haan wafa se nibhana..!

Sitamgar tere ishq mein hum ne jaana
Bewafai ko bhi haan wafa se nibhana
Faqat dil jalana, humein aazmaana
Bewafai ko bhi haan wafa se nibhana
Sitamgar tere ishq mein hum ne jaana
Bewafai ko bhi haan wafa se nibhana..!
Rukh pe lali bahaar palkon mein thi khiza'n
Sang muskaan ke dard bhi tha nihaa'n
Tujh se keh na sake apni hum daastaa'n
Ishq badnaam ka reh gaya bas fasana
Sitamgar tere ishq mein hum ne jaana
Bewafai ko bhi haan wafa se nibhana..!
KIsi ko muhabbat se apna banana
Kabhi tu ne jaana hai dil ko lagana
Uff yeh teri muhabbat wafa ka tarana
Wafa naam par hans raha hai zamana
Sitamgar tere ishq mein hum ne jaana
Bewafai ko bhi haan wafa se nibhana..!
- Khan M. Asim... 06/12/2014... 03:15 AM..!

Peer-e-Madina ki ta'zeem ataa kar mujhko!

Tamaam aalam ki ta'leem ataa kar mujhko
Mere maula siraat-e-mustaqeem ataa kar mujhko
Aqal-e-saleem, zarb-e-kaleem ataa kar mujhko
Peer-e-Madina ki ta'zeem ataa kar mujhko! Asim
05/12/2014
Aalam - word, ta'leem - knowledge, ataa - to give, maula - god, zarb-e-kaleem - miracle of Moses to part the sea, zarb - hit, kaleem - who speak (moses spoke to god) aqal-e-saleem - straight thinking, siraate mustaqeem - straight path, peer-e-madina (saint of madina - Hazrat Muhammad SAWS.. Tazeem - to stand in honour, ( here to stand in the honour of the Prophet after life..)

Pareshaani se pashemaani ka safar..!

Zahen kahan pe Yeh khemazan hai
Kashmakash ka faqat chalan hai
Yeh zindagi hai nakhaas koi
Har ek charney mein bas Magan hai
Yeh silsila Yeh, jumood kaisa
Yeh uljhanon ka numood kaisa
Purpeichiyaan Yeh beistewaari
Berozgaari Yeh raazdaari
Kahin shaamiyaana kahin aastaana
Milta nahin hai magar aashiyaana
Mehfilon se Yeh koft kab tak
Khilwaton ki giraft kab tak
Yeh jaavedaana daur hai kya?
Bata de mujhko aye mere maula
Ke dhadkanein hain udaas beithi
Nigaahon mein hai yaas beithi
Maani ab lamaani ho rahe hain
Hum apna aapa kho rahe hain
Bada kathin, hai Yeh jaan leva
Taraqqiyon se tanazzuli ka
Dileriyon se buzdili ka
Jaizey aur nazare saani ka safar
Pareshaani se pashemaani ka safar..!
- Khan M. Asim... 28/11/2014... 01:05 PM..!

Life!

26/11, I still remember how we media persons covered it extensively... It was a nightmare.. Sounds of gun shots and grenades. The end of the battle with NSG overpowering the terrorists at Nariman House, how we all cheered it... But the worst part alongwith the news of hundred deaths was the news I covered of a 4 year kid, who was brought to J J hospital. I still remember his skull was damaged since the bullet was pumped into his head at the CST long journey station. His family was going to his native place. Salute to all the policemen and commandos who fought bravely and safeguarded us. Some are with us and some received martyrdom along with Karkare, Salaskar and Kamte sir... Some say 26/11 was planned to assassinate Karkare Sir, dunno that but if he had been around till now, he must have brought to book many white collar criminals... Those who eventually reached to the peaks... He was an honest officer. Though I just met him a few times but can feel the void his martyrdom brought to the world of honest policing and unbiased investigations..!

Aap ki zaroorat hai... Aap aajaiye..!

Roshni ko, roshni ka... ik makaan chahiye
Aap ki zaroorat hai... Aap aajaiye..!
Zindagi ko zindagi ko... Humnawan chahiye
Aap ki zaroorat hai... Aap aajaiye..!
Sooni sooni hai dil ki basti
Ik bhanwar mein phansi hai kashti
Har taraf hai bas andheraa
Mit rahi hai apni hasti
Dhadkanon ko dhadkanon ko... Raazdaan chahiye
Aap ki zaroorat hai... Aap aajaiye..!
Saudagar hai ishq yaara
Iss wafa ne humko maara
Aap jis se khafa hongey
Kya karega woh bechara
Aap ko toh aap ko toh.. Haan mein haan chahiye
Aap ki zaroorat hai... Aap aajaiye..!
Shab gazeedah nein apne
Ghum se khoogar saare sapne
Hijr hai Yeh qaatilaana
Aap hi toh bas ho apne
Dosti ko dosti ko... Meharbaan chahiye
Aap ki zaroorat hai... Aap aajaiye..
Aap ki zaroorat hai... Aap aajaiye..!
- Khan M. Asim...25/11/2014... 06:36 PM... First song written in my new office at juhu, Andheri west..!